Woh Ghar Kay Hukm Jahan Fatima s.a. Mir Hasan Mir Manqabat 2018 Lyrics 

Like Us on Facebook For More Update ->

Woh Ghar Ke Hukam Jahan Fatima S.a. Ke Chalte Hai Lyrics 

​Syeda Tahira Raziya Marziya (2)
Wo Ghar Kay Hukam Jahan Fatima(sa) Kay Chaltay Hai (2)

Tamam Kaam Wahi Say (2) Khuda Ke Chaltay Hai
Wo Ghar Kay Hukam Jahan Fatima(sa) Kay Chaltay Hai

Yeh Kaisi Rah Guzar Hai Ye Konsa Dar Hai (2)
Kay Mustafa (swws) Bhi Yaha Sar Juka Kay Chaltay Hai
Wo Ghar Kay Hukam Jahan Fatima(sa) Kay Chaltay Hai

Jabi Pay Fakhr Say Rumal e Sayyada Bandhe (2)
Amame Walo Mein Gul Muskura Kay Chaltay Hai
Wo Ghar Kay Hukam Jahan Fatima(sa) Kay Chaltay Hai

Kay Jaise Hath Mein Al Ma’idah Ka Surah Ho (2)
Malak Yuh Rotiya Teri Utha Kay Chaltay Hai
Wo Ghar Kay Hukam Jahan Fatima(sa) Kay Chaltay Hai

Bana Na Lay Koi Duniya Utha Ke Woh Mitti (2)
Yuh Naqsh e Paa Tere Haider A.s. Chupakay Chaltay Hai
Wo Ghar Kay Hukam Jahan Fatima(sa) Kay Chaltay Hai

Ay Hur Na Ghabhara Yeh Karbobala Ki Basti Hai (2)
Yaha Pay Faisale Aal e Aba Ke Chaltay Hai
Wo Ghar Kay Hukam Jahan Fatima(sa) Kay Chaltay Hai

Yeh Tere Faako Ka Sadqa Hai Ay Hussain A.s. Ki Maa (2)
Jo Ghar Shukun Say Ahel e Aza Kay Chaltay Hai
Wo Ghar Kay Hukam Jahan Fatima(sa) Kay Chaltay Hai

Kaha Azal Se Takallum Nay Intazaar Karo (2)
Sana e Fatima Zahra S.a. Suna Kay Chaltay Hai
Wo Ghar Kay Hukam Jahan Fatima(sa) Kay Chaltay Hai


Sana Khuwan : Mir Hasan Mir
Kalam : Mir Takallum Mir

Azadarehussaini.com

Report Broken Link


[email protected]